DD Free Dish Frequency Setting ? – Gsat-15 @ 93.5°E

DD Free Dish Strong Frequency or Strong TP is 3810/V/29500 for Lnb Freq. (05150) and 11090/V/29500 for Lnb Freq. (09750) and (9750-10600). more detail given below-

DD FREE DISH ANTENNA SETTING-

Dd free dish ek indian free to air dth service he, jis par vibhinn tv aur radio ke channel free me provide karaye jaate he.

Dd free dish ko set karne ke liye aapko sabse pehle dish ko sahi tarike se install kar lenaa chahiye, uske baad divaar par ya janha par apni dish ko lagana ho vanha par dril machine ki sahayata se hole karke apni dish ko sahi se fit kar deve.

Apni dish ko deedar par fit karne ke baad apni dish ko dd free dish set karne ke liye aapko apni dish ko dd free dish ke satellite ke angle par set karna hota he, dd free dish par signal Gsat15 satellite se aate he isliye apni dish ko Gsat15 satellite ke angle par set karna hoga, Gsat15 satellite ka longitude yani Angle 93.5 E hota he isliye apni dish ko dheere dheere ghumana he aur 93.5 E par par set karna he.

Apni dish ko dd free dish ke angle par set karne ke liye aap kisi strong transponder frequency ka upyog kar sakte he ya fir kisi satellite dB meter ya fir satellite finder meter ka upyog kar sakte he, neeche aapko dd free dish ki sabhi strong frequency aur antenna setting di ja rahi he jinka upyog karke aap apni dish ko asani se dd free dish par set kar sakte ho aur adhik se adhik channel bhi jod sakte ho.

DD FREE DISH ANTENNA SETTING

For user Lnb Frequency ( 05150 – 05150 )

Lnb Freq.- 05150 – 05150
Trans. Freq. – 03810
Symbol rate – 29500
22K – OFF
DisEqc – Disable
Polarity – V

 

 

 

 

For user Lnb Frequency ( 09750 – 09750 )

Lnb Freq.- 09750 – 09750
Trans. Freq. – 11090
Symbol rate – 29500
22K – OFF
DisEqc – Disable
Polarity – V

 

 

 

 

For user universal Lnb Frequency ( 09750 – 10600 )

Lnb Freq.- 09750 – 10600
Trans. Freq. – 11090
Symbol rate – 29500
22K – OFF
DisEqc – Disable
Polarity – V

DD FREE DISH SETTING USING FREQ.

Dd free dish ko set karne ke liye kisi strong frequency ka upyog kar sakte he ya kisi satellite db meter ya satellite finder meter ka upyog kar sakte he, frequency ka upyog karke dish ko set karne ke liye yadi aapke set top box me pehle se hi channel jude huve he to aap kisi bhi channel ka jiska signal aapke area me asaani se mil jata he us channel ka frequency setup open kar lijiye, iske liye aap ek channel ko select kijiye aur remote ka signal button dabaiye ya fir add new program ko open kijiye, aisa karne par frequency setup khul jayega ab apni dish par Lnb ka skew angle apne area ke according set kijiye, dd free dish ke liye Lnb ko Left side me lagbhag 30 degree uper uthake rakhe. Ab dish ko dheere dheere horizontal aur vertical disha me ghumaye aur signal bhi dekhte rahe aur dish ko 93.5 E tak laaye, jab dish 93.5 E par set ho jayegi to hame signal bhi mil jaayenge, janha par maximum signal mil janye vanha par dish ko tite kar deve.

Dd free dish par signal mil jane ke baad sabi channel ko apne set top box me add karne ke liye hame apne set top box ko auto scan ya auto search karna hoga, hd ser top box me auto search aur auto scan ke alava kuch aur option bhi ho sakte he jaise blind scan, satellite search.

Auto scan karne ke liye remote ka menu button dabanye aur program setup me jakar auto search par jaye aur yanha lnb frequency, channel mode, scan mode, 22k, polarity, Diseqc aadi daalkar search option par jakar remote ka ok button dabaye, is parkar auto scanning start ho jaayegi aur auto scanning complete ho jaane ke baad dd free dish ke sabhi channel aapke box me add ho jayenge.

DD FREE DISH SETTING USING SATELLITE DB METER/SATELLITE FINDER METER

Dd free dish ko satellite db meter aur satellite finder meter ki sahayata se bhi bahut asaani se set kiya jata he, satellite db meter ya satellite finder meter se dish ko set karne ke liye sabse pehle dish par lagi lnb se cable ko hataye aur is cable ko satellite db meter ya satellite finder meter ke receiver terminal par jod de, ab dusri ek cable leve aur cable ka ek sira meter ke satellite terminal par jode aur dusra sira Lnb par jode, ab set top box ki power supply on kare, ab satellite db meter ya satellite finder meter ka db range thoda sa badha ke rakhe aur dish ko dheere dheere horizontally aur vertically ghumate rahe janha par beep ki sound maximum ho vanha par hume dd free dish ke signal mil jayenge, ab dish ko thoda adjustment kare aur set top par maximum signal lekar aaye aur dish ko bhalibhanti tite kar deve, ab set top box ki supply off kare aur satellite finder meter ko hata le aur receiver ki cable ko vaapas pehle ki taraha jod deve. Is prakar aapki dish par signal mil jayega, ab apne set top box ko auto scan karke dd free dish ke sabhi channel apne set top box me jod sakte he.

If you want get notifications for all new post, please press subscribe button and If you have any questions please write comment in comment box.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top